Lovers are known for acting in too many ways. Some of them are quite pleasant. Lovers’ looks, their shyness, coquetry, mischief etc. are the acts of love that please lovers. Even their movement, their smile, their way of speaking, or maintaining silence are the acts that engross the poets’ attention. You may experience these in this selection.
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
andāz apnā dekhte haiñ aa.ine meñ vo
aur ye bhī dekhte haiñ koī dekhtā na ho
pahle is meñ ik adā thī naaz thā andāz thā
rūThnā ab to tirī aadat meñ shāmil ho gayā
pūchhā jo un se chāñd nikaltā hai kis tarah
zulfoñ ko ruḳh pe Daal ke jhaTkā diyā ki yuuñ
hayā se sar jhukā lenā adā se muskurā denā
hasīnoñ ko bhī kitnā sahl hai bijlī girā denā
aafat to hai vo naaz bhī andāz bhī lekin
martā huuñ maiñ jis par vo adā aur hī kuchh hai
añgḌā.ī bhī vo lene na paa.e uThā ke haath
dekhā jo mujh ko chhoḌ diye muskurā ke haath
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
ye jo sar nīche kiye baiThe haiñ
jaan kitnoñ kī liye baiThe haiñ
aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se
har adā achchhī ḳhamoshī kī adā achchhī nahīñ
nigāheñ is qadar qātil ki uff uff
adā.eñ is qadar pyārī ki tauba
jaan lenī thī saaf kah dete
kyā zarūrat thī muskurāne kī
zamāna husn nazākat balā jafā shoḳhī
simaT ke aa ga.e sab aap kī adāoñ meñ
ḳhūb-rū haiñ saikḌoñ lekin nahīñ terā javāb
dilrubā.ī meñ adā meñ naaz meñ andāz meñ
sūrat to ibtidā se tirī lā-javāb thī
nāz-o-adā ne aur tarah-dār kar diyā
gul ho mahtāb ho ā.īna ho ḳhurshīd ho miir
apnā mahbūb vahī hai jo adā rakhtā ho